Kyun tu khud ko tabah karne hai chala…
Kyun dekhe sapne jo kabhi na honge poore…
Kyun sochta hai iss baar anzam alag hoga…
Kyun tujhe lagta hai ke iss baar koi tujhe samjhega...
Kyun sochta hai mehman ke jagah iss bar tera humsafar tere saath hoga.
Majhi badal jaane se toofan nahi ruka karte...
Teri zindagi to sabse bada toofan hai…
Tu kyun toofan mein kashti chalata hai…
Teri kismat mein sirf tootna likha hai aur wahi hoga…
Kyun sochta hai tera pyaar kissi ko badal dega…
Behtar yahi hai tu sambhal ja aur khud ko hi badal le…
Woh log kahin kho jate hain
ReplyDeleteJoh apne aap ko badal jate hai
Badalna hamesha accha nahi hota
Kahbi kabhi toofan ka samnaa karne mein hi samjhdaari hai
Tum gir gaye ho aaj ke toofan mein
Samjoh nahi isko apni haar is takraar mein
Kal phir se yeah toofan dobara aayega
Aur is baar tumhe khada hona siklha jayega
Aise toofan hamesha ayenge
Kabi bade kabhi chote hote jayege
Isse bhi bade toofano ka samna karna hai tumhe
Aur dikha dena hai is dunia ko ki tum nahi gume
Tum nikal aaoge in toofano se
Hume tum peh hai itna bharosa
Tab tum hame paaoge
Khade uss paar tumhare intezaar mein